Labels

Sunday, November 6, 2016

Gham-e-duniya

Dekha na aankh utha ke kabhi ahl-e-dard ne,
Duniya guzar gai gham-e-duniya liye huye !

~ 'fani Badayuni'

Dars-e-amal

Muhabbat hi nahin jis mein wo kya dars-e-amal dega,
Muhabbat tark kar dena bhi aashiq hi ko aata hai !

~ 'Firaq' Gorakhpuri


Wafa ka naam

Aaya hi tha abhi mere lab par wafa ka naam,
Kuch doston ne hath mein patthar utha liye !

~ Qateel Shifai

Aib

Dost har aib chhipa lete hain,
Koi dushman bhi tera hai ke nahin ?

~  'Baqi' Siddiqui

Chaaragar

Aye chaaragaro ! chaaragari ki nahin haajat,
Ye dard hi daaru-e-shifa mere liye hai !

~ Maulana Muhammad Ali 'Jauhar'

Ahl-e-wafa

Kuch baant dijiye humein apni jafa ke phool,
Hum bhi khade haain ahl-e-wafa ki qataar mein !

Qaid-e-gesu

Qaid-e-gesu se bhala kaun rahega azaad,
Teri zulfon ka shaanon pe bikharna hai yahi

~ Maulana Muhammad Ali 'Jauhar'